Время сумасшедших влюбленных Zamaana Deewana 1995 O Rabba
Lab pe dil ki baat hai aayi Main kaise khamosh rahu Dhadkan kahti hai jo mujhse Kaise tujhse wo baat kahu
Sath chhodu na tera chahe duniya ho khafa Sath chhodu na tera chahe duniya ho khafa Ye hai mera faisla kya hai tera faisla, O rabba
Vaada todu na sanam chahe koi ho sitam Vaada todu na sanam chahe koi ho sitam Ye hai mera faisla kya hai tera faisla Ho rabba Sath chhodu na tera chahe duniya ho khafa
Main to jeeungi tere intezaar me Aansu piungi har ghadi main pyar me Teri wafa pe mujhe aetbar hai Dil kya hai tujhpe meri jaan nisar hai Hona tha ek din dil ko deewana Kismat mein to tha yeh pyar aana Ho dil to maine sathiya naam tere likh diya Ho dil to maine sathiya naam tere likh diya Ye hai mera faisla kya hai tera faisla O rabba Sath chhodu na tera chahe duniya ho khafa
Khamosh dharti falak bejuban hai Apni mohabbat ka ye imtihan hai Rishte dilo ke koi tod na sake Tufaan ki dhara koi mod na sake Hum to likhenge apna fasana Jo jee mein aaye karle zamana Teri baaho mein rahu dard tera main sahu Teri baaho mein rahu dard tera main sahu Yeh hai mera faisla kya hai tera faisla O rabba Vaada todu na sanam chahe koi ho sitam Sath chhodu na tera chahe duniya ho khafa Yeh hai mera faisla kya hai tera faisla O rabba Yeh hai mera faisla kya hai tera faisla O rabba o rabba o rabba o rabba.