Tum bhi ho, main bhi hoon, paas aao, toh keh doon Aakhir kyun pal yun diwaana main ho gaya Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana -2 Jo hosh tha, woh toh gaya Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo Toh hoke beqaabu, dil kho gaya Tumhein jo maine socha, tumhein jo maine maana Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana Jo hosh tha, woh toh gaya
Itni kyun, tum khubsoorat ho, ke sab ko hairat ho Duniya mein sach-much hi rehti hai Pariyon se bhi zyaada pyaari si ladki koyi Haan itni kyun, bolo haseen tum ho, jo dekhein gum-sum ho Dekho na main bhi hoon khoya sa Behka sa mujhpe bhi chhaayi hai diwaangi Tumhi ko maine puja, tumhi ko chaaha paana Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana Jo hosh tha, woh toh gaya Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo Toh hoke beqaabu, dil kho gaya Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana -2 Jo hosh tha, woh toh gaya
Tum bhi ho, main bhi hoon, paas aao, toh keh doon Tumne jo dekha toh kya jaane kya ho gaya Jaane kyun, rehti hoon khoyi si, jaagi na soyi si Ab dil mein armaan hai saanson mein toofaan hai Aankhon mein khwaabon ki hai chaandni Aa…jaane kyun, behka sa ye mann hai, mehka sa ye tan hai Chalti hoon itraake, ithlaake, sharmaake Balkhaake jaise koyi raagini Tumhein jo maine samjha, tumhein jo pehchaana Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana Jo hosh tha, woh toh gaya
Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo Toh ho hoke beqaabu, dil kho gaya