Aap ki naatein mein likh likh ker sunaon aapko
kis tarha raazi karun kaisey manaon apko
Aapko raazi na ker paya to mar jaon ga mein
choti choti kirchiyan ban ker bhiker jaon ga mein
zindagi ka is tarah mujhko maza kya aye ga
dil siyahi ke bhawar mai doobta reh jaye ga
wasta dun aapko mein aap ke Hasnain ka
yaar ghaar-e-sor ka siddiqah-e-konain ka
Aap to dushman ke haqq mein bhi dua kartey rahey
bewafa loghon se bhi har dam wafa kartey rahey
Aap to rehmat hi rehmat hain jahanon ke liye
merey jaise be-amal aur be-thikano ke liye
Aapka hai roothna arz-o-samah ka roothna
arsh ka sarey jahano ke Khuda ka roothna
Aapki nazron sey jo girta hai mar jata hai woh
raakh ban ker apney qadmon mein bhiker jata hai woh
Is tarha to aadmi khud aadmi rehta nahi
saheb-e-imaan kya insaan bhi rehta nahi
Kaisey kaisey dushmanon per reham khaya aap ney
aag sey kitney hi loghon ko bachaya aap ney
Apney jooton apne saaye mein bhita dijiye mujhey
aapka nacheez khadim hu dua dijiye mujhey
Zindagi ki taiz lehron mein na beh jaon kahin
gird ban ker rastey hi mein na reh jaon kahin
Aapko khatoon-e-jannat aur Ali ka wasta
aapko Farooq-o-Usman-e-Ghani ka wasta
Zindagi ko ik bohat mushkil safr darpaish hai
aik mushkil imtehaan baar-e-digar darpaish hai
Soch mein dooba hua hu soch hi mein qaid hu
bebasi ghairey huey hai bebasi mein qaid hu
Toot tey jatey hain sarey aasrey jitney bhi hain
be-asar hai logh sab chotey bharey jitney bhi hain
Kis qadar kitna zaruri hai sahara aapka
meri qismat hi badal dey ga ishara aapka
Logh akser shahir-e-ashaab kehtein hain mujhey
unki khatir roz-o-shab beytaab kehtein hain mujhey
Be-amal hu maghfirat ka ik sahara hai zarur
aapka her ik sahabi jaan sey pyaara hai zarur
Meiney mukhtas kar li apni chasm-e-tar unke liye
muztarib rehta hu mein shaam-o-sehr unke liye
Mein na sarmud hu na majnun hu na mein mansoor hu
unka shahir aur unka banda-e-mazdoor hu
Meri khuwahish hai ke unki khoobian likhta rahun
shoq sey mein aasman ko aasman likhta rahun
Un ke sadqay aap mujh per meharbani kijiye
merey haal-e-zaar per Aaqa tawajja dijiye
Aapse rishta ghulami ka sada qaim rahey
khwajgi aur bandagi ki yeh fiza qaim rahey
Merey sar per mushkilon ka aasman girney ko hai
zarra-e-nacheez per koh-e-girah girney ko hai
Ghup andhairey mein khara hu ae hira ke aaftab
purza purza ho rahi hai meri khushiyun ki kitaab
Merey haqq mein apney Khaliq sey dua farmaiye
ae mere Aaqa karam ki inteha farmaiye
Dekhte hain to mujhey be-aasra kehtey hain logh
ehd-e-mazi ki koi bhooli sada kehtey hain logh
Kis tarha rokun mein is toofan aur sailaab ko
zehn sey kaise nikalun khofnak is khuwaab ko
Meri apni saans bhi ab to merey bus mein nahi
thak gaee hai chalte chalte ab meri loh-e-jabeen
Dekh ker dushwaar rahein zindagi ghabra gaee
merey ghar tak aatey aatey roshni ghabra gaee
Sabz gumbad ki taraf uthti hain nazrain baar baar
aapki rehmat ko daita hai sada yeh khaaksaar
Khaliq-e-arzo samah sey ab dua kijiye huzoor
meharban ho jaye mujh aasi pe ab Rabb-e-Ghafoor
Meri himmat sey ziada hai pareshani ka bhoj
mein utha sakta nahi apne tan-e-fani ka bhoj
rah pe chaltey huey ab dagmaga jata hu mein
saans leney per bhi ab to lerkhara jata hu mein
lab hila dijiye meri khatir dua ke wastey
reham fermadijiye mujh per khuda ke wastey
Aap ki naatein mein likh likh ker sunaon aapko
kis tarha raazi karun kaisey manaon apko
Anas Younus еще тексты
Оценка текста
Статистика страницы на pesni.guru ▼
Просмотров сегодня: 2