Tu na rona, ke tu hai bhagat singh ki maa Mar ke bhi laal tera marega nahi Doli chadhke to laate hai dulhan sabhi Hasake har koi phaansi chadhega nahi
Jalte bhi gaye kehte bhi gaye Aazaadi ke parwaane Jeena to usika jeena hai Jo marna desh par jaane
Jab shaheedon ki doli uthe dhoom se Deshwalon tum aansu bahana nahi Par manaao jab aazaad bharat ka din Us ghadi tum hamein bhool jaana nahi
Aye vatan aye vatan hamko teri kasam Teri rahon main jaan tak luta jaayenge Phool kya cheez hai tere kadmon pe ham Bhent apne saron ki chadha jaayenge Aye vatan aye vatan
Koi panjaab se, koi maharashtra se Koi UP se hai, koi bangaal se Teri pooja ki thaali mein laaye hain ham Phool har rang ke, aaj har daal se Naam kuch bhi sahi par lagan ek hai Jyot se jyot dil ki jaga jaayenge Aye vatan aye vatan...
Teri jaanib uthi jo kahar ki nazar Us nazar ko jhuka ke hi dam lenge ham Teri dharati pe hai jo kadam gair ka Us kadam ka nishaan tak mita denge ham Jo bhi deevaar aayegi ab saamane Thokaron se use ham gira jaayenge